aawaza-e-khayal kahin gunjta hua aur us pe sara sahn-e-sukhan jagta hua dast-e-dua buland hua tha yahin kahin apne liye khuda se tujhe mangta hua aakhir mein thak ke baith gaya khushk ghas par phulon ke darmiyan tujhe dhundhta hua hairat hamari aankh ko lalkarti hui manzar darun-e-khwab koi daudta hua logon ke sath saf mein khada ho gaya 'wasim' farz-e-kifaya mein bhi ise jaanta hua