ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb gunjaan dard ka mere andar dhuan hai zeb gade siyah mein hai lahu ki lapak na lahr kyun is qadar bhi naqsh-e-nafas be-nishan hai zeb kyun be-asar hai meri dua sahn-e-subh mein kyun shab-kade mein meri fughan raegan hai zeb kyun mutthi-bhar sarab se nuqsan-e-dasht hai kyun aankh-bhar nami se chaman ka ziyan hai zeb