ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke khama supurd katib-e-taqdir kar chuke kahte hain tum visal ki tadbir kar chuke goya hamare haq mein wo taqdir kar chuke tadbir ko hawala-e-taqdir kar chuke hum be-zaban bhi yar se taqrir kar chuke dil-e-khar-khar khanda-e-chashm-e-asar hai ab dil-e-garm sirf nala-e-shab-gir kar chuke marta hun yun ki basta-e-fitrak kyun nahin main hun wahi ki tum jise nakhchir kar chuke hum jaan kyun na den dam-e-guftar bar bar par dekhte hain ye ki wo taqrir kar chuke bahar hai zabt-e-sharm se aashuftagi meri tum bhi asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke waqt-e-payam wasl wo kahte hain ho chuka shayad adu se wasl ki tahrir kar chuke bas intizar-e-subh-e-qayamat nahin qubul hum ab to azm nala-e-shab-gir kar chuke kuchh muzd-e-ranj bazu-e-qatil nahin ki dil nazr ada-e-burrash-e-shamshir kar chuke khulta nahin ye uqda ki ho baithe shad kyun kis ko asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke kahiye ki shan-e-ishq mein kya ho gai kami go aap khub si meri tahqir kar chuke dil hai yahan do-nim qusur-e-tapish muaf tum bhi nigah-e-bazm ko shamshir kar chuke khulta hai aur nala-sarai se dil mera nala ye bin to un pe bhi tasir kar chuke surat chhupaiye kisi surat-parast se hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke daman-kashan chale hain meri khak par se wo barbaad karne ki meri tadbir kar chuke kuchh hashr-khezi shab-e-gham-e-intizar-e-marg kuchh dur zulm waqt ki takhir kar chuke gautam ne us ko rakh ke nazar mein gira diya lekin adu ki izzat-o-tauqir kar chuke ta-charkh hain udae phire mujh ko zoaf mein nale kahan kahan mujhe tashhir kar chuke hai wahan nigah nigah ko sar-e-dil-bari magar dil ko mere wo qismat-e-sad-tir kar chuke kahiye ki zor-e-bazue mein kidhar gaya sau bar ghair aap ki taqsir kar chuke pahle jabin hawala-e-taqdir kar chuke dil musir hai ki kar-kunan-e-qaza a saman-e-sad-shikastin tamir kar chuke chun chun ke be-gunah ko wo late hain zer-e-tegh hum jab se is ummid pe taqsir kar chuke aakhir to baad us ke hai yas se ummid jo kuchh hum apni aah ki tasir kar chuke ab kya kahen ki qaul-e-wafa de chuke unhen pahle hi qata daman-e-taqrir kar chuke ab kya raha lapet mein daman se aap ke mitti hum apni aap jo tauqir kar chuke hai chashm-e-dajla baz to kya hum ko chashm-e-zist kashana ru-e-ab pe tamir kar chuke kyun iltija-e-qatl se kijiye unhen satang jab waqt aa gaya to wo takhir kar chuke hum kis se shukr-o-madh qubul-o-dua karen lab qismat-e-shikayat-e-tasir kar chuke ab munh se bolti koi taswir aap ki jaan apni hum hawala-e-taqdir kar chuke is lab pe imtihan ke liye mar mite hain hum jine se pahle marne ki tadbir kar chuke hota hai wo hi yahan ki jo manzur hai wahan 'anwar' hum aazmaish-e-taqdir kar chuke