ab apne gunahon pe wo sharminda kahan hai insan bhala aadam ka numainda kahan hai kuchh aur bure din na kahin dekhne pad jaen is daur-e-farasat mein khirad zinda kahan hai har chehra hai ikhlas ki tanwir se aari ai shahr-e-mohabbat tera bashinda kahan hai hum jis ke liye mazi mein khun rote rahe hain ab soch rahe hain ki wo aainda kahan hai har samt nazar aati hain chalti hui lashen duniya mein bashar hai to magar zinda kahan hai