ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha kyunkar jiyun ki zist ka saman nahin raha gardun ki samt dekh ke rukhsat hua mariz jab koi us ke haal ka pursan nahin raha taron ne kar diya teri wahshat ka raaz fash ai raat tera husn bhi pinhan nahin raha mujh par to teri aankh ne phir kar ghazab kiya main lutf-gir-e-gardish-e-dauran nahin raha fasl-e-bahaar ki meri wahshat ne di khabar ab dil sambhaalna mujhe aasan nahin raha ai yas tu ne aa ke sahaara diya mujhe jab koi mere haal ka pursan nahin raha pichhle pahar shikast ki aawaz aai hai tuta hai dil ki zabt ka imkan nahin raha ab dil mein tere tir ke paikan ki yaad hai go dil mein tere tir ka paikan nahin raha hanste hain phul zakhm pe dushman hai baghban gulshan mein ji bahalne ka saman nahin raha jo dard tu ne jis ko diya wah re asar us dard ka jahan mein darman nahin raha wahshat bhari nigah ne viran kar diya ab kya karun wo rang-e-gulistan nahin raha hasrat ne be-kasi mein kafan ban ke dhak liya ab lasha mujh gharib ka uryan nahin raha 'afsar' mushaeron mein hai kyon meri justuju main to mushaeron mein ghazal-khwan nahin raha