ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata kisi ke kaam koi umr-bhar nahin aata ye dil bhi dost faramosh kam nahin tujh se ki muddaton nahin aata jidhar nahin aata na soen din ko wo raaton ko jagte hain zarur nahin to aankh mein itna asar nahin aata unhin ki baat hain jo main ne yaad kar li hain magar wo un ki zaban ka asar nahin aata muraqabe mein hai kya kya mushahida ai shaikh baghair us ke nazar mein asar nahin aata adam ke nam se har ek kyun rahe bashshash har ek shakhs ko lutf-e-safar nahin aata ilaj aur maraz mein na thi koi nisbat hamare samne ab chaaragar nahin aata ghuti hi jati hain har roz quwwaten dil ki main us ke sadqe jo arman bar nahin aata dua ke dhang hi ahbab ko nahin aate ghalat hai ye ki dua mein asar nahin aata wo dard mol ki ho raat-din ki nind haram to dekh aah mein kaisa asar nahin aata usi ne kah diya achchha hua ki wo kya hai meri samajh mein to ye umr-bhar nahin aata safi' ko shairi aati hai wo bhi kuchh yun hi use bas aur to koi hunar nahin aata