ab firaq-o-visal bar hue umr guzri hai be-qarar hue is ki be-e'tibariyon ke tufail kitne hi gul yahan pe khar hue khwab do ek hi bache zinda qatl baqi to be-shumar hue kyun raha ghairiyat ka sa ehsas jab bhi hum us se kam kanar hue mere us ke muamle ab to sare aalam pe aashkar hue kuchh nai ye malamaten to nahin aise tane to bar bar hue jurm kya hai pata nahin ab tak han magar roz sangsar hue kitne hi trahdar hum jaise is kharabe mein khaksar hue kis qadar mubtala the hum khud mein khud se nikle to be-kanar hue 'mir'-o-'ghaalib' ki khak-e-pa ke tufail hum bhi kis darja aab-dar hue