ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin

ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
aasman kuchh bhi nahin aur zamin kuchh bhi nahin

mit gaya dil se aqidat ka bharam yani ab
us ka dar kuchh bhi nahin apni jabin kuchh bhi nahin

kyon na yak-rangi-e-haalat se ji uktae
ab koi bazm-e-tarab daur-e-hazin kuchh bhi nahin

ab to har husn-o-nazar rang-o-mahak saz-o-sukhan
lakh achchhe hon magar khud se hasin kuchh bhi nahin

jaane kis taur hai taqsim-e-karam allah ka
hai kahin kitna hi kuchh aur kahin kuchh bhi nahin

aas bandhti hai zara der use takne mein
kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin kuchh bhi nahin

aa hi jaenge tah-e-dam-e-ajal sab ek din
ho bhale takht-nashin khak-nashin kuchh bhi nahin

kitna pur-shor tha anfas ka bahta dariya
kyon ye kahta hai dam-e-baz-pasin kuchh bhi nahin

mit gaya jism hui ruh bhi rukhsat kab ki
ab yahan koi makan hai na makin kuchh bhi nahin

khud se kis taur sahe shakhs wo duri apni
hai ba-juz apne 'amar' jis ke qarin kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close