ab is aah-o-fughan se ai dil-e-nakaam kya hoga

ab is aah-o-fughan se ai dil-e-nakaam kya hoga
ye pahle sochna tha ishq ka anjam kya hoga

bajae dil nazar aata hai ek shoala sa pahlu mein
ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga

hujum-e-gham se ghabra kar main apni jaan to de dun
magar tera bata ai gardish-e-ayyam kya hoga

khudaya aaj mere zabt-e-gham ki laj rah jae
sahar hi jab qayamat hai to phir ta-sham kya hoga

'ziya' ye daur-e-azadi sunahra hi sahi lekin
hamein malum hai is daur ka anjam kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close