ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha

ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha
tumhaare wasl ka tum se to khwast-gar na tha

sharab pite hi wo khul gae wo khul khele
shab-e-visal mein kuchh lutf-e-intizar na tha

na jhapki jab shab-e-wada palak to hum samjhe
ye koi aur bala thi ye intizar na tha

wo tir aap ke tarkash mein kaun sa nikla
jo be-chale bhi hamare jigar ke par na tha

wo mar gaya hai to kya hai hamein bhi marna hai
khuda gawah hai 'bekhud' wo sharab-khwar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close