ab jo bikhre bhi to chamkenge sitaron ki tarah

ab jo bikhre bhi to chamkenge sitaron ki tarah
ek numaish hi sahi aaina-paron ki tarah

sard jhonke ki himaqat pe wo dali ki lachak
mujh ko lagti tere masum ishaaron ki tarah

yaad aate hain jo barsat mein bhige lamhe
zakhm rah-rah ke damakte hain shararon ki tarah

tere gesu tere abru teri pur-shokh nazar
meri ghazlon mein chamakte hain sitaron ki tarah

muntazir koi mile mujh ko bhi pyasi dharti
main bhi dil khol ke barsunga bahaaron ki tarah

us ki yaadon se hai raushan mere dil ki basti
mere mahbub ke pur-nur dayaron ki tarah

zist guzri hai meri gham ke thapede sah kar
kisi sagar ke sahanshil kinaron ki tarah

jab tasawwur mein ubharta hai wo khushbu sa badan
dil-e-viran sanwarta hai nazaron ki tarah

kabhi bhule se mera dard bhara dil na chhua
yun dikhawe ko to milta hai wo pyaron ki tarah

yun to aate hain meri samt kai gham ke bhanwar
par duaen hain mere gird hisaron ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close