ab kisi khwab ki tabir nahin chahta main koi surat pas-e-taswir nahin chahta main chahta hun ki rifaqat ka bharam rah jae ahd-o-paiman ki tafsir nahin chahta mein hukm sadir hai to nafiz bhi karo mere huzur faisle mein koi takhir nahin chahta main chahta hun tujhe guftar se qail kar lun baat mein lahja-e-shamshir nahin chahta main muddaa hai ki mera haq mujhe wapas mil jae tere ajdad ki jagir nahin chahta main