ab koi chaara-saz hai bhi nahin chhodo umr-e-daraaz hai bhi nahin sochta hun bata hi dun sab ko ab tera raaz raaz hai bhi nahin mir ki is ghazal mein bas tum ho dusra nim-baz hai bhi nahin aap jab chahen tod sakte hain dil pe ab mujh ko naz hai bhi nahin gham ghalat ho gae hon ya maula warna ab to majaz hai bhi nahin zindagi khud riyaz hai apna aur koi riyaz hai bhi nahin chaara-sazo tasalliyan kar lo dil mein ab koi raaz hai bhi nahin