ab koi gham-gusar hamara nahin raha duniya ko e'tibar hamara nahin raha is fart-e-gham mein khun ke aansu tapak pade ab dil bhi raazdar hamara nahin raha us ki huzur pir-e-mughan mein hai manzilat jo ahd-e-paedar hamara nahin raha har dagh ubhar ke zakhm bana zakhm rashk-e-gul dil mail-e-bahaar hamara nahin raha ye hai maal-e-sohbat-e-zahid janab-e-dil rindon mein ab shumar hamara nahin raha