ab koi gulshan na ujde ab watan aazad hai ruh ganga ki himala ka badan aazad hai khetiyan sona ugaen wadiyan moti lutaen aaj gautam ki zamin tulsi ka ban aazad hai mandiron mein sankh baje masjidon mein ho azan shaikh ka dharm aur din-e-barhaman aazad hai lut kaisi bhi ho ab is desh mein rahne na pae aaj sab ke waste dharti ka dhan aazad hai