ab koi jit nahin haar nahin kuchh bhi nahin

ab koi jit nahin haar nahin kuchh bhi nahin
main jahan hun wahan sansar nahin kuchh bhi nahin

ek aalam ki khabar mujh ko hui jati hai
main khabar-dar na hushyar nahin kuchh bhi nahin

ek jaise hain magar phir bhi juda hain sare
darmiyan hai koi diwar nahin kuchh bhi nahin

mere bachcho meri ye baat sada yaad rahe
aadmi ka koi kirdar nahin kuchh bhi nahin

wo jo nafrat ke sahaare hi bane hain sab kuchh
un se kah do ki agar pyar nahin kuchh bhi nahin

pahle har dil pe hukumat thi 'munawwar' apni
ab to dilli mein bhi sarkar nahin kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close