ab koi tera misl nahin naz-o-ada mein andaz mein shokhi mein shararat mein haya mein maghrur se sarkash mutawaze pe hun qurban mitti mein to mitti hun hawa hun main hawa mein kya khub wo khud karte hain yun apni sataish aafat hun jalane mein qayamat hun jafa mein ghairat nahin aati tumhein har baat mein baithe ulfat mein mohabbat mein murawwat mein wafa mein jab ho dam-e-akhir to bacha lene ki taqat phir khak-e-shifa mein na kahin aab-e-baqa mein wo chahe to sab kuchh hai na chahe to nahin kuchh tawiz mein gande mein fatile mein dua mein ek adna sa parda hai ek adna sa tafawut makhluq mein mabud mein bande mein khuda mein surkhi ke sabab khub khila hai gul-e-lala aariz mein labon mein kaf-e-dast o kaf-e-pa mein ushshaq ki khun-rezi se kya faeda zalim mashghul ho lakhe mein to masruf hina mein aashiq to hamesha hai mohabbat ki badaulat ilzam mein taqsir mein isyan mein khata mein hum bhi the kabhi khubi-e-taqdir se 'parwin' arfat mein muzdalfa mein makka mein mina mein