ab kya karunga ya-rab tera jahan le kar dharti pe main khada hun ek aasman le kar wadon ki anjuman mein kuchh faeda nahin hai apni zaban de kar meri zaban le kar har shai dikhai deti hai saf jis ki chhat se hum log bas gae hain aisa makan le kar sine mein rah na jaen mausam ki dastanen patjhad ko kya milega phulon ki jaan le kar rah-e-wafa mein hum ko tum khub aazmao ek imtihan kya hai sau imtihan le kar aanchal ki laj rakhna hosh-o-khirad se aage diwane badh rahe hain tera nishan le kar is lafz-e-ashiqi mein lakhon paheliyan hain tum kya karoge 'dilkash' ye dastan le kar