ab mariz-e-gham-e-ulfat ka khuda hafiz hai kah ke chalta hua allah nigahban koi ai sitamgar hai meri jaan tera har arman dam nikalta hai nikalta hai jo arman koi ab to har dam kisi wahshi ko hai sahra ka khayal sath apne liye phirta hai bayaban koi dard uthta hai mere dil mein bara-e-tazim us taraf se kabhi aata hai jo paikan koi aaina un ko dikha kar ye kaha main ne 'jigar' ab na kahna ki hai kyon husn ka hairan koi