ab mere pas faqat dhaal hai talwar nahin main zamin-dar ka beta hun zamin-dar nahin rengte sanp nazar aate hain har-su mujh ko kaise kah dun ki ye firaun ka darbar nahin zindagi kaise guzarenge na jaane apni mere bachchon mein zara bhi koi makkar nahin qasr-e-shahi ka samajh lena na hissa khud ko tu ki diwar ka saya hai tu diwar nahin ek muddat hui angaron pe sote sote phir bhi is waqt talak qaum ye bedar nahin hai zaminon ke kharidar to lakhon 'kaifi' aasmanon ka magar koi kharidar nahin