ab mujhe apna banane ke liye mat aana phir koi khwab dikhane ke liye mat aana ho jo ujdi hui duniya ki tamanna aa ja khwab-e-rangin zamane ke liye mat aana hasab-e-mansha main bana lunga muqaddar apna tu ye taklif uthane ke liye mat aana dil mein taza hain abhi tak tere zakhmon ke kanwal gul koi aur khilane ke liye mat aana tujh ko jis samt bhi jaana hai chala ja lekin ham-safar mujh ko banane ke liye mat aana khub ji khol ke hansna meri barbaadi par mujh pe ab ashk bahane ke liye mat aana wo to khud apne kiye par hai pasheman 'nadim' tum use aur satane ke liye mat aana