ab mujh ko dard sahne ki aadat nahin rahi ye sach hai chah se abhi chahat nahin rahi do-pal ka bhi sukun mayassar nahin mujhe tadpa hun yun ki chain ki hajat nahin rahi dil se laga ke yaad ko aajiz hua hun main ab teri yaad mein wahi rahat nahin rahi shikwe-shikayaten bhi karun kis se main bhala jab khud main dekhne ki basarat nahin rahi iman-dari se to wahi log dur hain kahte hain jo yahan ki sadaqat nahin rahi sab dukh tumhaare sah liye 'kashif' khushi khushi sahne ki aur mujh mein to taqat nahin rahi