ab mulaqat ek kaam hui ye mohabbat bhi yun tamam hui hum ne go khub bandh li tamhid aakhirash bas usi ka nam hui ab tumhein waqt chahiye wah wah meri na-waqt ja ke kham hui bech kar tum ne ki khari qimat khwah wo dirham hui ki dam hui maut se khub yariyan ganthin tab kahin ja ke zist ram hui teri raushan jabin se zulfon tak zindagani ki subh sham hui zindagi hai tawil sab ne kaha chal ke dekha to ek gam hui