ab qais hai koi na koi aabla-pa hai dil aath pahar apni haden dhund raha hai ehsas ki wadi mein koi saut na surat ye manzil-e-irfan tak aane ka sila hai zakhmon ke bayaban mein koi phul na patthar yaadon ke jazire mein na but hain na khuda hai ek khak ke paikar ka tamasha hai sadak par har shakhs yahan qahr ki taswir bana hai mitti ke gharaunde mein sitaron ke diye hain aangan mein andhera na ujala na hawa hai ab anjuman-e-shauq mein shamen na patinge ab marg-e-musalsal ki saza hai na jaza hai chashmon ko shikayat hai ki shoalon mein ghire hain sahra ko ye dukh hai ki pada sukh raha hai ab nakhl-e-rah-e-shauq na sae na manazil ab aabru-e-ishq na sauda na wafa hai ab panw musafir hain nafas marhala-e-zist ab waqt ke hathon pe na khun hai na hina hai khun-rang shafaq-rang khizan-rang hain chehre jismon pe kafan hai na koi surkh qaba hai suraj ko hatheli pe lakiron ki tamanna ab chand ki thaali mein kiran hai na diya hai ab dasht ke sine pe faqat aag bichhi hai ab naqsh-e-kaf-e-pa hai na ab bang-e-dara hai har aankh chalati hui tashkik ke neze har zehn tajassus ki rida odh chuka hai alfaz ke chehre se ayan shan-e-khamoshi honton pe sawalat ka ek jal bichha hai kyun sham ko bahon mein ulajhne ki hawas hai kyun subh ki palkon mein koi khwab chhupa hai kyun raat ke mathe pe chamakte hain nagine kyun din ke rag-o-pai mein koi hashr bapa hai mashriq ke darichon se ghutan jhank rahi hai maghrib ki fazaon mein dhuan phail chuka hai aashob-e-nazar ho ki tamannaon ke nashtar har tasht mein zakhmon ka ek ambar laga hai mandir ke gajar khak par ab chup se pade hain masjid ke manaron ka sira tut chuka hai diwar bhi diwar se aazad nahin hai mauhum khalaon mein bhi zindan-e-hawa hai suqraat tah-e-khak yahi soch raha hai ab zahr faqat pyas bujhane ki dawa hai ab najd ke sahra mein na kante na sadaen ab qais hai koi na koi aabla-pa hai yun raat jab aai hai to rukna hi pada hai dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-wafa hai majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat har ahd mein tahzib ne ye dhong racha hai