ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya khinchti hai mera dil chashm-e-ghazal-e-duniya lo utarti hai badan se mere khaki poshak lo hua jata hun main sarf-e-kamal-e-duniya mit rahe hain mere andar ke sabhi naqsh-o-nigar ban rahe hain mere bahar khad-o-khal-e-duniya tere chehre ka fusun bhi nazar aae to kahin koi aaina dikhata hai jamal-e-duniya bas yahi nakhl-e-hawas hai jo rahega sarsabz tera iqbaal siwa taza nihaal-e-duniya main bhi hairan mera dil bhi pashiman sa hai jism ke hath hua jab se visal-e-duniya