ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae

ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae
diwar o dar ko chhod ke sahra mein aa gae

taswir the jo awwalin sarshaariyon mein log
wo zakhm ban ke chashm-e-tamanna mein aa gae

un se bhi puchhiye kabhi apni zamin ka karb
jo sahilon ko chhod ke dariya mein aa gae

wahshat ne yun to khub diya har qadam pe sath
lekin tere fareb-e-dil-ara mein aa gae

is anjuman mein anjum o zohra bhi the magar
hum shab-guzida sehr-e-surayya mein aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close