ab teri zarurat bhi bahut kam hai meri jaan ab shauq ka kuchh aur hi aalam hai meri jaan ab tazkira-e-khanda-e-gul bar hai ji par jaan waqf-e-gham-e-giriya-e-shabnam hai meri jaan rukh par tere bikhri hui ye zulf-e-siyah-tab taswir-e-pareshani-e-alam hai meri jaan ye kya ki tujhe bhi hai zamane se shikayat ye kya ki teri aankh bhi pur-nam hai meri jaan hum sada-dilon par ye shab-e-gham ka tasallut mayus na ho aur koi dam hai meri jaan ye teri tawajjoh ka hai ejaz ki mujh se har shakhs tere shahr ka barham hai meri jaan ai nuzhat-e-mahtab tera gham hai meri zist ai nazish-e-khurshid tera gham hai meri jaan