ab to dil o dimagh mein koi KHayal bhi nahin

ab to dil o dimagh mein koi khayal bhi nahin
apna junun bhi nahin us ka jamal bhi nahin

us se bichhad ke zist mein ye hi gila raha mujhe
us se juda bhi hun magar jina muhaal bhi nahin

ishq ki jang mein miyan ye hi usul hai baja
hath mein us ke tegh ho aap ke dhaal bhi nahin

mujh ko kahin mili nahin koi bhi rah-e-pur-sukun
samt-e-junub bhi nahin samt-e-shumal bhi nahin

mere badan pe tha kabhi us ke badan ka pairahan
aaj bala ka hijr hai jism pe shaal bhi nahin

ye bhi kamal hi to hai qabil-e-dad sahiban
aaj kalam-e-'jashn' mein koi kamal bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close