ab to hujum-e-yas ki kuchh intiha nahin yani mujhe umid ka bhi aasra nahin kab hum se be-dilon pe nigah-e-jafa nahin hum khub jaante hain ki tu be-wafa nahin ai rashk-e-parda-soz shikayat ki ja nahin wo bazm-e-naz hai dil-e-be-muddaa nahin dikhlae phir khuda na wo mayusiyon ke din hota tha ye khayal ki hai ya khuda nahin allah-re be-niyazi-e-asudagan-e-khwab is qurb par kisi se koi bolta nahin aati hai zarre zarre se aawaz-e-bazgasht phir bhi ye kah raha hai abhi kuchh kaha nahin wo khud bhi dafn ho gai ahl-e-wafa ke sath be-kar dhundhta hai jahan mein wafa nahin hai jalwa-rez bazm-e-tasawwur jamal-e-yar ai shauq-e-did ab ye taghaful rawa nahin sadqe tere karam ke na de zahmat-e-sawal kashkol hai faqir ka dast-e-dua nahin mahrumiyon se zauq hai majburiyon se ishq main kaamyab hun ye mera muddaa nahin wo did-ha-e-shauq ki dekhen tera jamal kis ka bahisht kuchh bhi unhen dikhta nahin kyon us ke chumte hi na mearaj ho nasib 'bekhud' khuda ka hath hai dast-e-dua nahin