ab to is bazm mein yun nesh-zani hoti hai

ab to is bazm mein yun nesh-zani hoti hai
parda-e-lutf mein khatir-shikani hoti hai

dil ko de jata hai chupke se tasalli koi
jab meri sham gharib-ul-watani hoti hai

aadmi ke liye aasan hai aalam-shikani
sakht dushwar magar khud-shikani hoti hai

kis tarah kijiye ab un se taghaful ka gila
lab hilate hain to khatir-shikani hoti hai

samne aa ke zara hum se milao nazren
kahin parde se bhi nawak-fagani hoti hai

jin pe guzri hai wahi us ko samajh sakte hain
dil-dahi se bhi kabhi dil-shikani hoti hai

sham-e-gham aati hai ek aisi ghadi bhi 'shaariq'
aap khud apne pe jab khanda-zani hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close