ab to khud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta jaise parwaz se tute hue par ka rishta koi khidki bhi nahin ab to jo baqi rakhti mere ghar se mere ham-sae ke ghar ka rishta tum farishte hi sahi nazren na badlo yaro kya farishton se nahin koi bashar ka rishta mod aane do abhi samne aa jaega kya hai aapas mein sharikan-e-safar ka rishta tu mere chaak-gareban ko naya suraj de jod jaun main dhundlakon se sahar ka rishta mere hathon ki lakiren ye batati hain mujhe pattharon hi se rahega mere sar ka rishta sab ke chehron ki kharashen hain nazar mein 'ghausi' aainon se hai dil-e-aina-gar ka rishta