ab to panchhi bhi ghar nahin aate

ab to panchhi bhi ghar nahin aate
aane wale idhar nahin aate

kuchh bakhedon se is qadar ruthe
paon aate hain sar nahin aate

sach yahi hai ki dukh jatane ko
log aate hain par nahin aate

desh duniya ki baat karte hain
aap is baat par nahin aate

waqt ke sath ud gae panchhi
phir kabhi laut kar nahin aate

baat karne ko baat karte hain
baat karne magar nahin aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close