ab tum ko hi sawan ka sandesa nahin banna mujh ko bhi kisi aur ka rasta nahin banna kahti hai ki aankhon se samundar ko nikalo hansti hai ki tum se to kinara nahin banna mohtat hai itni ki kabhi khat nahin likhti kahti hai mujhe auron ke jaisa nahin banna taswir banaun to bigad jati hai mujh se aisa nahin banna mujhe waisa nahin banna is tarah ke lab kaun tarashega dobara is tarah ka chehra to kisi ka nahin banna chehre pe kisi aur ki palken nahin jhukti aankhon mein kisi aur ka naqsha nahin banna main soch raha hun ki main hun bhi ki nahin hun tum zid pe adi ho ki kisi ka nahin banna main raat ki inten to bahut jod raha hun par mujh se tere din ka daricha nahin banna inkar to yun karti hai jaise ki kabhi bhi chhanw nahin banna use saya nahin banna is dard ki tahwil mein rahte hue hum ko chup-chap bikharna hai tamasha nahin banna us ne mujhe rakhna hi nahin aankhon mein 'amir' aur mujh se koi aur thikana nahin banna