ab use chhod ke jaana bhi nahin chahte hum aur ghar itna purana bhi nahin chahte hum sar bhi mahfuz isi mein hai hamara lekin kya karen sar ko jhukana bhi nahin chahte hum apni ghairat ke liye faqa-kashi bhi manzur teri sharton pe khazana bhi nahin chahte hum hath aur panw kisi ke hon kisi ka sar ho is tarah qad ko badhana bhi nahin chahte hum aankhen jab di hain nazare bhi ata kar ya-rab ek kamre mein zamana bhi nahin chahte hum