ab wo mujh se khafa nahin hota ab koi hadisa nahin hota raat aati hai raat jati hai koi wada wafa nahin hota aap mere qarib rahte hain kam magar fasla nahin hota kitne baadal baras gae lekin khushk pauda hara nahin hota dil ki tarikiyan nahin jatin dur andhera zara nahin hota ye karishme hain sab aqidat ke koi patthar khuda nahin hota jism aazad ho gaya lekin dil qafas se riha nahin hota main ek aisi sharab hun 'nilam' jis ko pi kar nasha nahin hota