ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jati hai hu-ba-hu aap ki taswir nazar aati hai khud ko tarikh kisi waqt jo dohraati hai mere haalat pe duniya ko hansa jati hai yaad-e-ayyam-e-bahaaran bhi nahin wajh-e-sukun ab to tazin-e-qafas hi mujhe bahlati hai barq ban ban ke giri hai mere dil par akasr wo tajalli jo sar-e-tur nazar aati hai aaj kuchh un ki tawajjoh mein kami pata hun zindagi maut se do-chaar hui jati hai dil bhar aata hai mera dekh ke nam aankh koi apne rone pe to ab mujh ko hansi aati hai main wo ek nang-e-zamana hun azal hi se 'rais' zindagi hai ki mere nam se sharmati hai