abas hai shakh-e-qad-awar pe aashiyan rakhna zamin ko ras kab aaya hai aasman rakhna safar karo ki thahar jao ek azab hai ye qadam ko hijrat-o-manzil ke darmiyan rakhna kisi ka shor-e-fughan sun ke yaad aaya bahut fasil-e-gham mein mera dard-e-be-zaban rakhna khuli faza mein to shabnam bhi bar lagti hai agar hai tarz-e-kuhan sar pe saeban rakhna ye log apni hi diwar ke naqab-zan hain kabhi na bhul ke tum ghar ka pasban rakhna hai naw maujon ki zad mein magar hamein 'abid' na aaya baad-e-mukhalif pe baadban rakhna