abhi dukhi hun bahut aur bahut udas hun main hansun to kaise ki taswir-e-dard-o-yas hun main qarib rah ki bhi tu mujh se dur dur raha ye aur baat ki barson se tere pas hun main bhatak raha hun abhi khar-dar sahra mein magar mizaj-e-gulistan se ru-shanas hun main jo tirgi mein diya ban ke raushni bakhshe us e'timad ki halki si ek aas hun main khud apne hath se sita hun aur pahanta hun is ahd-e-nau ka wo bikhra hua libas hun main 'kamal' mujh ko nai nasl yaad rakkhegi kitab-e-zist ka ek aisa iqtibas hun main