abhi guzre dinon ki kuchh sadaen shor karti hain dariche band rahne do, hawaen shor karti hain yahi to fikr ke jalte paron pe taziyana hai ki har tarik kamre mein duaen shor karti hain kaha na tha hisar-e-ism-e-azam khinchne wale yahan aaseb rahte hain balaen shor karti hain hamein bhi tajraba hai be-ghari ka chhat na hone ka darinde, bijliyan, kali ghataen shor karti hain abhi gard-e-safar ke girye ki hai gunj kanon mein abhi kyun muntazir khali saraen shor karti hain hamein sairab rakkha hai khuda ka shukr hai us ne jahan banjar zaminen hon anaen shor karti hain