abhi khamosh hain sholon ka andaza nahin hota meri basti mein hangamon ka andaza nahin hota jidhar mahsus ho khushbu usi jaanib badhe jao andheri raat mein raston ka andaza nahin hota jo sadiyon ki kasak le kar guzar jate hain duniya se moarrikh ko bhi un lamhon ka andaza nahin hota ye rahbar hain ki rahzan hain masiha hain ki qatil hain hamein apne numaindon ka andaza nahin hota nazar ho lakh gahri aur basirat-ashna phir bhi naqabon mein kabhi chehron ka andaza nahin hota zamin par aao phir dekho hamari ahmiyat kya hai bulandi se kabhi zarron ka andaza nahin hota wafaon ke tasalsul se bhi aksar tut jate hain mohabbat ke hasin rishton ka andaza nahin hota utar jate hain ruh o dil mein kitni wusaten le kar ghazal ke dilruba lahjon ka andaza nahin hota saliqe se sajaana aainon ko warna ai 'razmi' ghalat rukh ho to phir chehron ka andaza nahin hota