abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main tere khayal teri dhun mein hun jahan hun main kali kali mutabassim hai aarzuon ki qadam qadam pe mohabbat mein kaamran hun main nawa nawa mein meri zindagi machalti hai rabab-e-husn-o-mohabbat pe naghma-khwan hun main mera tajassus-e-paiham hai zindagi-amoz mujhe qarar nahin hai rawan-dawan hun main jahan tamam agar mujh se sargiran hai to kya ba-zat-e-khud bhi to ek mustaqil jahan hun main fana ki zad se hai mahfuz zindagi meri shiar mera mohabbat hai jawedan hun main