abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-KHayal se

abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-khayal se
mujhe aur upar uchhaal sath-e-visal se

tere shahparon mein zaman makan ke hain fasle
tu uqab hai to numud kar par-o-baal se

kabhi ban pade to ye kar-e-khair bhi kam nahin
kisi aaine ko bacha lun gard-e-malal se

mere husn-e-azmat-e-sabr-o-zabt ke nam hain
mujhe jo bhi pahunchin aziyyaten meri aal se

kai sar jhukenge meri ana ki shikast par
kai hashr jag uthenge mere zawal se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close