abhi ruThi hui hai par yahi taswir bolegi

abhi ruthi hui hai par yahi taswir bolegi
yaqinan ek din hum se hamari hir bolegi

mere dushman abhi hai waqt to samjha raha hun main
agar main chup hua to phir meri shamshir bolegi

are nadan duniya mein tera kirdar bolega
ye kis ne kah diya tujh se teri jagir bolegi

miyan qismat ko rone se yahan kuchh bhi nahin hoga
yahan tadbir se insan ki taqdir bolegi

wafa ke nam par sahab hamara munh na khulwao
agar boli zaban to phir misal-e-tir bolegi

libas-e-jism phat jae meri gardan bhi kat jae
magar ye ruh phir bhi nara-e-takbir bolegi

zaban bole ya na bole magar 'sajid' zamane mein
jo likh kar chhod jaunga wahi tahrir bolegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close