abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai jamaw donon mahazon pe lashkaron ka hai kisi khayal kisi khwab ke siwa kya hain wo bastiyan ki jahan silsila gharon ka hai ufuq pe jaane ye kya shai tulu hoti hai saman ajib pur-asrar paikaron ka hai ye shahr chhod ke jaana bhi marka hoga ajib rabt imarat se pattharon ka hai wo ek phul jo bahta hai satah-e-dariya par use khabar hai ki kya dukh shanawaron ka hai utar gaya hai wo dariya jo tha chadhao par bas ab jamaw kinaron pe pattharon ka hai