abr hi abr hai barasta nain ab ke sawan tumhaare jaisa nain khwab aur saint kar rakhen aankhen in se aansu to ek sambhalta nain ghumti hai zamin gird mere panw uthte hain raqs hota nain noch dale hain apne par main ne main bhi insan hun farishta nain kaisa harjai ho gaya aansu mera daman hai aur gila nain kab hue dost kab hue dushman aap ka bhi koi bharosa nain dil ki baaten aur is se chhodo bhi wo jo lagta hai yar waisa nain baaton baaton mein jaan lenge sabhi jo bhi tera nahin wo mera nain aasmanon mein kho gain ja kar kuchh patangon ki koi 'sima' nain