abr ke sath hawa raqs mein hai sare jangal ki faza raqs mein hai panw tikte hi nahin ashkon ke jaise aankhon ki dua raqs mein hai darmiyan chikhte insanon ke mera khamosh khuda raqs mein hai khokhla ped khada hai lekin us ka ehsas ana raqs mein hai ab to un pairon ko ghairat aae wo mera shoala-nawa raqs mein hai ishq-e-pechan jo sutunon pe chadhi ghar ki viran faza raqs mein hai khushbuen gunj rahi hain mujh mein aaj phulon ki sada raqs mein hai sab lakiron se lahu rista hai yun hatheli pe hina raqs mein hai nazar-e-sailab hue ahl-e-makan taq par ab bhi diya raqs mein hai