achanak kis ko yaad aai hamari kahani kis ne dohrai hamari chalo aaya na aaya jaane wala sada to laut kar aai hamari guzishta shab hawa se guftugu ki charaghon ne qasam khai hamari nazar aaya hai wo bimar apna khuli jis par masihai hamari teri khushbu se hai aabaad ab tak ye bagh-e-dil ye angnai hamari zamin aabaad hoti ja rahi hai kahan jaegi tanhai hamari