achanak samne wo aa gaya to palat de mera har ek faisla to musalsal aazmate ja rahe ho agar nikla kabhi wo bewafa to jala karti hai jis ke sath shab bhi wo tara jalte jalte bujh gaya to falak ki be-rukhi se tang aa kar zamin ne kar liya kuchh faisla to mera saya jo mujh se kho gaya tha kisi din rah chalte mil gaya to hawa se baat karti titliyon ko koi ek tez jhonka le uda to 'saba' dariya ka dil bhi jhum uttha kisi ka nam pani par likha to