achchhe dinon ki aas laga kar main ne khud ko roka hai kaise kaise khwab dikha kar main ne khud ko roka hai main ne khud ko roka hai jazbaat ki rau mein bahne se dil mein sau arman daba kar main ne khud ko roka hai furqat ke mausam mein kaise zinda hun tum kya jaano kaise is dil ko samjha kar main ne khud ko roka hai chhod ke sab kuchh tum se milne aa jaana dushwar nahin mustaqbil ka khauf dila kar main ne khud ko roka hai katte kahan hain hijr ke lamhe phir bhi ek zamane se teri yaadon se bahla kar main ne khud ko roka hai wapas jaane ke sab raste main ne khud masdud kiye kashti aur patwar jala kar main ne khud ko roka hai jab bhi main ne chaha 'raghib' dushman par yalghaar karun khud ko apne samne pa kar main ne khud ko roka hai