achchhi kahi dil main ne lagaya hai kahin aur ye jab ho ki tum sa ho zamane mein kahin aur gardun pe mah o mehr gul o shama zamin par ek jalwa-e-jaanan hai kahin aur kahin aur main aks hun aaina-e-imkan mein tumhaara tum sa jo nahin aur to mujh sa bhi nahin aur ahbab jo karte hain karam haal pe mere kahta hai junun aaiye chal baithen kahin aur jate hain mitate hue wo naqsh-e-qadam ko kah de koi un se ki hai ek khak-nashin aur aankh us ne milai tadap uttha dil-e-muztar taka tha kahin aur pada tir kahin aur hum bhule hue rah hain ai kaba-nashino jate the kahin aur nikal aae kahin aur deti hai maza nasiya-sai tere dar par ek sajda jo karta hun to kahti hai jabin aur kuchh roz 'jalil' apni rahi gar yahi haalat dhundenge falak aur nikalenge zamin aur